Advertisement

Brown Rice Vs White Rice in Hindi: Which is Healthier, Weight Loss, Weight Gain, Bodybuilding (2019)

Brown Rice Vs White Rice in Hindi: Which is Healthier, Weight Loss, Weight Gain, Bodybuilding (2019) Brown Rice Vs White Rice in Hindi: Which is Healthier, Weight Loss, Weight Gain, Bodybuilding (2019)

Namaskar doston, Fat2Fit mein aap sabhi ka swagat hai. White rice khayein ki brown rice. Humari sehat ke liye kaunsa accha hai. Is prashn ka uttar dene se pehle samajhte hain ki white rice aur brown rice mein antar kya hai. Samasth white rice pehle brown rice hota hai. Rice mein se jab husk nikal diya jata hai to usko brown rice kehte hain. Husk rice ka sabse bahaari cover hota hai. Ab agar brown rice mein se uska bahaari covering yaniki bran ko hata diya jaye to woh white rice ban jata hai. Aaaiye ab samjhte hain ki in dono mein se kaunsa khana chahiye chahe aapka goal weight loss hai ya weight gain.

Ismein koi dorai nahin ki brown rice ka nutrient profile kafi behtar hota hai par yeh ek debatable ka topic hai. Bran jo rice ko brown banata hai, usmein phytate namak ek compound hota hai jo brown rice mein mojud minerals ko block kar deta hai aur usko thik se hajam bhi nahi hone deta.

Halaki white rice mein yeh compound nahin hota par bran ko nikal denese rice ka kimti nutrients bhi hatt jata hai. Par ismein chinta karne wali koi baat nahin. White rice ko further processing kiya jata hai jismein iron, folic acid, b vitamins, zince vitamin A eityadi add kiya jata hai. Finally nutrient profile mein white rice brown rice se aage nikal jata hai.

White rice ke saath ek problem zaroor hai ki usmein fibers kam hota hai, kyunki bran ke hatne se fibers bhi ghatt jata hai. Par agar aap rice ke saath hari pattedar sabjiyan khate hain to chinta karne wali koi baat nahin.

Yeh satya hai ki white rice ke comparsion mein brown rice bahut slowly digest hota hai. Kyunki brown rice slowly digest hota hai woh blood glucose level ko jaldi nahin badata aur isliye aapka insulin bhi jada release nahin hota hai. Fayda yeh hai ki aapko diabetes ka khtara kam hota hai. Par yeh samajhane wali baat hai ki koi white rice ko akele nahin kahata. Insaan white rice ko dal, sabji ya meat ke saath khata hai. Jab aap is tarah ka aahaar lete hain tab yeh combination bhi bahut dheere dheere digest hota hai aur aapka insulin spikes nahin hota.

Bharat ke famous doctor, Dr. Pushparajah ke anusaar white rice ko slow digesting banane ka ek aur bahut badiya tarika hai.

1. Sabse pehle Pani ko ubala
2. Pani mein 1 chamach coconut oil daalein
3. usmein aap 1 cup rice daalein
4. Isko 20 minutes tak boil karien
5. Jab rice thanda hojaye to usse 12 ghanto ke liye refrigerator mein rakh dein.

Yeh karne se aap rice mein se 60% Calories tak kam kar sakte hain aur yeh aapko weight loss mission mein kafi phaiidemand saabit ho sakta hai.

Ab aapke liye ek Bonus Tip.
Aaakhri par keemti baat, agar aap rice mein Arsenic se darr rahein hai to aapko bata doon, ismein bhi white rice better choice hai. Consumer reports ke hisab se
brown rice mein 80% jada arsenic hota hai.

Summarize karte huye kehna chahonha agar aap weight gain karne chahte hain to apne strength training to sahi urja pradan karne hetu white rice hi khayein aur yadi aap weight loss pe bhi hai to bhi white rice kha sakte hai, sirf kitni matra mein kha rahein hai uska dhyan rakkhein.

Umeed hai yeh video aapko pasand aaya hoga aur vigyan se sambandhit cheezon ko samajhne ke liye humare saath jude rahein. Jai Hind

Music Credit 2:
Track: Disfigure - Blank (HYLO Remix) [NCS Release]
Music provided by NoCopyrightSounds.
Watch:
Free Download / Stream:

Music Credit 1 & 3:
Aurora B.Polaris - Forgotten
Music provided by HearWeGo
Artist: Aurora B.Polaris
Title: Forgotten
Listen on YouTube:

brown rice ya white rice 2019,वाइट राइस खाएं की ब्राउन राइस,वाइट राइस और ब्राउन राइस में अंतर,Fat2fit 2019,brown rice aur white rice mein antar,brown rice ya white rice kaunsa healthy hai,brown rice vs white rice weight gain hindi,brown rice vs white rice weight gain,brown rice ya white rice hindi,brown rice vs white rice which is healthier in hindi,brown rice slow digesting,Brown Rice Vs White Rice in Hindi,Fat2fit,ब्राउन राइस डायबिटीज,

Post a Comment

0 Comments