Advertisement

Carbohydrates: Simple and Complex Carbohydrates in hindi | Types of Carbs in Hindi (Chapter 1B)

Carbohydrates: Simple and Complex Carbohydrates in hindi | Types of Carbs in Hindi  (Chapter 1B) Free Course on Nutrition and Health in Hindi: Carbohydrates: Simple and Complex Carbohydrates| Types of Carbs in Hindi - (Chapter 1B)

Is Video mein hum yeh batayeinge ki Simple carbohydrates kya hote hai, complex carbohydrate kya hote hain, monosaccharide, disaccharide aur polysaccharide kisse kehte hain.Carbohydrates ke prakar ya types.
Namaskar doston Fat2Fit mein aap sabhi ka swagat hai. Fat2fit ka param lakshya aapke motape ko ghatane, maanspeshoyon ko badane aur ek swasta jeevan vyateet karne mein aapki sahayata karna hai.
Nutrition Basics Course ke dusre adhyay mein aap sabhi ka abhinandan hai.
Is video ke madhyam se hum aapko vibhinna prakar ke carbohydrates are ache aur bure carbohydrates mein antaro ke awgat karayeinge.
Samanya sugar jo ki single ring carbon molecules se nirmit hote hai,woh monosaccharides kehlate hai. Monosaccharides prakritik roop se vibhinn prakaar ke khadya padartho me paaye jaate hai.
Mono ka Arth hota hai ek jabki saccharide ka matlab hai sugar.Is se yeh sidh hota hai ki yeh sugar molecules apni atoms ki vistrit prakaar ke sajaawat par aadhaarit hote hai.Monosaccharides ke kuch udharan hai glucose, fructose and galactose.
Chaliye cheezo Ko thoda aur uljhate hue hum ab baat karte hai disaccharide ki. Apka andaaza bilkul sahi hai di ka do.
Ji ha yeh sugar do ring waale carbon molecules se bante hai.
Disaccharides ke udharan hai lactose,sucrose, maltose evam trehalose.
In dono prakaar ke sugars Ko sadharan sugars ke roop me jana jata hai hai,kyuki sharirik pranaali me Pravesh karte hi yeh asaani se glucose me Badal jaate hai. Jis se blood sugar ka level badh jaata hai aur pancreas badhya hokar insulin utpanna karta hai aur yeh humaare swasthya ke liye bilkul sahi nahi hai.Kyunki insulin ki maujudgi kabhi fat ko burn nahi hone deti. Yeh sugar level ko aur badhte hue swasthya ko Kewal aur Kewal haani hi pachuta hai,aur heart problems jaise Gambhir rogo ki sambhawnayo Ko prajwalit karta hai.
Chaliye in dono ke bade bhai polysaccharides ki bhi charcha karle isse pehle ki bade Bhaiya naraaz ho jaaye. Polysaccharides ka arth hota hai kai carbon ring molecules se nirmit sugar.
Yeh samanya sugar jinme ki bahut hi Kum single ring molecules maujood hote hai yeh humaare khaane me utne laabhdayak nahi hote jitne ki complex sugars hote hai.
To ab ye saaf ho Chuka hai ki complex carbohydrates me bahut saari carbon rings hote hain jo polysaccharides banate hain.
Sandesh bilkul saaf hai ki jitna complex carbohydrates hoga humare system Ko use todkar istemaal karne me utni hi suvidha hogi aur sharir me energy aur poshak tatwo ka prawah bhi sucharoo rup se hoga.
Isme koi sandeh hi nahi reh jaata hum hamesha, complex carbohydrates joki polysaccharides ki kaafi lambi chains hoti hai, ko hi mahatva denge. Yeh humare shareer me Pravesh karne ke Baad bahut hi niyantrit rup se sugar release karta hai,falswaroop humaare sugar levels bhi ache bacho ki tarah kaboo me rehte hai.
Agle video mein hum apko good carbohydrate aur bad carbohydrates ki vhibhinnata se awgat karwayeinge. Tab tak ke liye vida lete hain..Jai Hind

Music Credit 2:
Track: Disfigure - Blank (HYLO Remix) [NCS Release]
Music provided by NoCopyrightSounds.
Watch:
Free Download / Stream:

Music Credit 3:
Aurora B.Polaris - Forgotten
Music provided by HearWeGo
Artist: Aurora B.Polaris
Title: Forgotten
Listen on YouTube:


Recommended Playlist
Weight Loss in Hindi:
Muscle Gain in Hindi:
Weight Loss Guide in English:
Muscle Gain In English:
Health & Wellness:
Home Workout:
Strength Training Tutorials :
Ketogenic Diet:

Fat2fit,Fat2fit 2019,Simple and Complex Carbohydrates in hindi,Types of Carbs in Hindi,simple and complex carbs,Carbohydrates ke prakar,monosaccharide disaccharide polysaccharide,carbohydrate monosaccharide disaccharide polysaccharide,carbohydrates in hindi,nutrition basics course in hindi,motape ko ghatane,structure of carbohydrates in hindi,carbohydrates in sanrachna,simple sugars and complex sugars,

Post a Comment

0 Comments